kuchh zarūrat se kam kiyā gayā hai
tere jaane kā ġham kiyā gayā hai
tā-qayāmat hare bhare raheñge
in daraḳhtoñ pe dam kiyā gayā hai
is liye raushnī meñ ThanDak hai
kuchh charāġhoñ ko nam kiyā gayā hai
kyā ye kam hai ki āḳhirī bosa
us jabīñ par raqam kiyā gayā hai
pāniyoñ ko bhī ḳhvāb aane lage
ashk dariyā meñ zam kiyā gayā hai
un kī āñkhoñ kā tazkira kar ke
merī āñkhoñ ko nam kiyā gayā hai
dhuul meñ aT ga.e haiñ saare ġhazāl
itnī shiddat se ram kiyā gayā hai