kise ḳhabar hai ki umr bas us pe ġhaur karne meñ kaT rahī hai
ki ye udāsī hamāre jismoñ se kis ḳhushī meñ lipaT rahī hai
ajiib dukh hai ham us ke ho kar bhī us ko chhūne se Dar rahe haiñ
ajiib dukh hai hamāre hisse kī aag auroñ meñ baT rahī hai
maiñ us ko har roz bas yahī ek jhuuT sunñe ko phone kartā
suno yahāñ koī mas.ala hai tumhārī āvāz kaT rahī hai
mujh aise peḌoñ ke sūkhne aur sabz hone se kyā kisī ko
ye bel shāyad kisī musībat meñ hai jo mujh se lipaT rahī hai
ye vaqt aane pe apnī aulād apne ajdād bech degī
jo fauj dushman ko apnā sālār girvī rakh kar palaT rahī hai
so is ta.alluq meñ jo ġhalat-fahmiyāñ thiiñ ab duur ho rahī haiñ
rukī huī gāḌiyoñ ke chalne kā vaqt hai dhuñdh chhaT rahī hai