Tahzeeb Hafi

na nind aur na KHwabon se aankh bharni hai

Tahzeeb Hafi

1988
na niiñd aur na ḳhvāboñ se aañkh bharnī hai
ki us se ham ne tujhe dekhne kī karnī hai
kisī daraḳht kī hiddat meñ din guzārnā hai
kisī charāg kī chhāñv meñ raat karnī hai
vo phuul aur kisī shāḳh par nahīñ khulnā
vo zulf sirf mire haath se sañvarnī hai
tamām nāḳhudā sāhil se duur ho jaa.eñ
samundaroñ se akele meñ baat karnī hai
hamāre gaañv kā har phuul marne vaalā hai
ab us galī se vo ḳhushbū nahīñ guzarnī hai
tire ziyāñ pe maiñ apnā ziyāñ na kar baiThūñ
ki mujh murīd kā murshid 'uvais-qarnī' hai
Top Urdushayar.com