terā chup rahnā mire zehn meñ kyā baiTh gayā
itnī āvāzeñ tujhe diiñ ki galā baiTh gayā
yuuñ nahīñ hai ki faqat maiñ hī use chāhtā huuñ
jo bhī us peḌ kī chhāñv meñ gayā baiTh gayā
itnā mīThā thā vo ġhusse bharā lahja mat pūchh
us ne jis ko bhī jaane kā kahā baiTh gayā
apnā laḌnā bhī mohabbat hai tumheñ ilm nahīñ
chīḳhtī tum rahī aur merā galā baiTh gayā
us kī marzī vo jise paas biThā le apne
is pe kyā laḌnā fulāñ merī jagah baiTh gayā
baat dariyāoñ kī sūraj kī na terī hai yahāñ
do qadam jo bhī mire saath chalā baiTh gayā
bazm-e-jānāñ meñ nashisteñ nahīñ hotīñ maḳhsūs
jo bhī ik baar jahāñ baiTh gayā baiTh gayā