zindagī ḳhaak meñ bhī thī tire dīvāne se
ab na uTThegā bagūlā koī vīrāne se
is qadar ho ga.ī kasrat tire dīvānoñ kī
qais ghabrā ke chalā shahr ko vīrāne se
jal-marā aag mohabbat kī ise kahte haiñ
jalnā dekhā na gayā sham.a kā parvāne se
kis kī begāna-vashī se ye tahayyur aayā
ki ab apne bhī nazar aate haiñ begāne se
shaiḳh sāhab bhī hue motaqid-e-pīr-e-muġhāñ
aaj ye taaza ḳhabar aa.ī hai mai-ḳhāne se
itnī tauhīn na kar merī balā-noshī kī
sāqiyā mujh ko na de maap ke paimāne se
ai 'vafā' apne bhī jab aañkh churā lete haiñ
be-ruḳhī kā ho gilā kyā kisī begāne se