Kishwar Naheed

jab main na hun to shahr mein mujh sa koi to ho

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
jab maiñ na huuñ to shahr meñ mujh sā koī to ho
dīvār-e-zindagī meñ darīcha koī to ho
ik pal kisī daraḳht ke saa.e meñ saañs le
saare nagar meñ jānñe vaalā koī to ho
dekhe ajiib rañg meñ tanhā har ek zaat
in gahre pāniyoñ meñ utartā koī to ho
DhūñDoge jis ko dil se vo mil jā.egā zarūr
ā.eñge log aap tamāshā koī to ho
phir koī shakl baam pe aa.e nazar kahīñ
phir rahguzr-e-ām meñ rusvā koī to ho
koī to ārzū-e-farozāñ sambhāl rakh
haañ apne sar pe qarz-e-tamannā koī to ho
har-dam ilāj-e-mehr-o-vafā DhūñDte raho
is tīrgī meñ ghar kā ujālā koī to ho
'nāhīd' bandishoñ meñ muqayyad hai zindagī
jaa.eñ hazār baar bulāvā koī to ho
Top Urdushayar.com