Taj Saeed

band darichon ke kamre se purwa yun Takrai hai

Taj Saeed

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2002
band darīchoñ ke kamre se purvā yuuñ Takrā.ī hai
jaise dil ke āñgan meñ dukhiyā ne taan lagā.ī hai
peḌoñ kī ḳhāmoshī se bhī dil merā ghabrātā hai
sahrā kī vīrānī dekh ke aañkh mirī bhar aa.ī hai
dil ke sahrā meñ yādoñ ke jhakkaḌ aaise chalte haiñ
jaise nain jharokā bhī us prītam kī añgnā.ī hai
apne dil meñ yādoñ ne zaḳhmoñ ke phuul khilā.e haiñ
jism kī is dīvār ke andar kis ne naqab lagā.ī hai
pattā pattā shāḳh se TuuTe darvāzoñ pe vahshat sī
yaaro prem kathā meñ kis ne dard kī taan milā.ī hai
dariyā dariyā naav bahe to gorī giit protī jaa.e
un gītoñ kī taan amar hai jin kā rañg judā.ī hai
panchhī kī chahkār hamesha jañgal ko garmāti hai
ḳhalq-e-ḳhudā ne apne dil meñ bas yahī yaad basā.ī hai
qadam qadam dukh dard ke saa.e shahr hue vīrāne bhī
kis ne des ke phūloñ par ab hijr kī raakh uḌaa.ī hai
Top Urdushayar.com