khiḌkī meñ ek naar jo mahv-e-ḳhayāl hai
shāyad kisī ke pyaar ko paane kī chaal hai
kamre kī chiiz chiiz pe hai hasratoñ kī gard
āñgan meñ ujlī dhuup kā phailā jamāl hai
alfāz ke guhar tirī ḳhātir piro liye
ye bhī to tere husn-e-talab kā kamāl hai
iz.hār-e-ishq kartā hai ab raah chalte bhī
is ahd kā javāñ baḌā raushan-ḳhayāl hai
barsoñ ke yaar kab ke judā ho ga.e 'sa.īd'
is shahar meñ zarūr muravvat kā kaal hai