Taj Saeed

shahr ke diwar-o-dar par rut ki zardi chhai thi

Taj Saeed

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2002
shahr ke dīvār-o-dar par rut kī zardī chhā.ī thī
har shajar har peḌ kī qismat meñ ab tanhā.ī thī
jiine vāloñ kā muqaddar shohrateñ bantī rahīñ
marne vāloñ ke liye ab dasht kī tanhā.ī thī
chashm-poshī kā kisī zī-hosh ko yaarā na thā
rut salīb-o-dār kī is shahr meñ phir aa.ī thī
maiñ ne zulmat ke fusūñ se bhāgnā chāhā magar
mere pīchhe bhāgtī phirtī mirī rusvā.ī thī
bārishoñ kī rut meñ koī kyā likhe āḳhir 'sa.īd'
lafz ke chehroñ kī rañgat bhī bahut dhundlā.ī thī
Top Urdushayar.com