Ahmad Masood

dosto tumne ajab ye ehtimam-e-gham kiya

Ahmad Masood

dosto tum ne ajab ye ehtimām-e-ġham kiyā
qatl sūraj kar diyā phir raat bhar mātam kiyā
yaad rakhegī ye duniyā us ko sadiyoñ dosto
jān-e-bar-haq jis ne de dī sar na lekin ḳham kiyā
kāmyābī kis tarah hotī hameñ hāsil bhalā
sochte aksar rahe ham kaam lekin kam kiyā
kārzār-e-zindagī meñ ḳhud ko ham ne dosto
bārhā sho.ala kiyā to bārhā shabnam kiyā
ek muddat se hamāre darmiyāñ thī dostī
us ne kaise dushmanī kā faisla ik dam kiyā
vahshateñ palne lagīñ 'mas.ūd' saare shahar meñ
jab se milnā aadmī ne aadmī se kam kyā
Top Urdushayar.com