Ahmad Masood

raat ko din kaha nahin jata

Ahmad Masood

raat ko din kahā nahīñ jaatā
yuuñ to suulī chaḌhā nahīñ jaatā
log to chup haiñ zulm sah kar bhī
mujh se kyoñ chup rahā nahīñ jaatā
aaj to shahr meñ hai sannāTā
kal ho kyā kuchh kahā nahīñ jaatā
dhuup sar pe ho aur sahrā ho
paañv nañge chalā nahīñ jaatā
jaan har pal rahe hathelī par
is tarah to jiyā nahīñ jaatā
baḌh gayā kyā bisāt se us kī
dil se ġham kyoñ sahā nahīñ jaatā
jis ko milnā hai ḳhaak meñ 'mas.ūd'
us ke aage jhukā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com