Ahmad Masood

jo haalat ab hai is dil ki ye haalat phir kahan hogi

Ahmad Masood

jo hālat ab hai is dil kī ye hālat phir kahāñ hogī
ġhazal kah leñ idhar maa.il tabī.at phir kahāñ hogī
milā hai ab jo ġham mujh ko rahegā umr bhar dil meñ
jo shiddat aaj hai is meñ vo shiddat phir kahāñ hogī
abhī ik dūsre ko dekh leñ donoñ nazar bhar ke
bichhaḌne kā hai vaqt aayā ye qurbat phir kahāñ hogī
mileñge phir ye kahte ho kabhī vāpas jo aa.e to
kahāñ aise miloge tum ye sūrat phir kahāñ hogī
judā ho kar bhī tujh se zindagī ai dost guzregī
bahar-sūrat magar ye ḳhūbsūrat phir kahāñ hogī
shikāyat thī tumheñ ham se hameñ bhī tum se shikva thā
kareñge kis se phir shikva shikāyat phir kahāñ hogī
chaleñ 'mas.ūd' hāl-e-dil ab un se apnā kah deñ ham
milegī phir kise fursat ye jur.at phir kahāñ hogī
Top Urdushayar.com