Mela Ram Wafa

kisi dard-mand ki hun sada kisi dil-jale ki pukar hun

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980
kisī dard-mañd kī huuñ sadā kisī dil-jale kī pukār huuñ
jo bigaḌ gayā vo nasīb huuñ jo ujaḌ ga.ī vo bahār huuñ
koī mujh pe phuul chaḌhā.e kyuuñ koī mujh pe sham.a jalā.e kyuuñ
koī mere paas bhī aa.e kyuuñ ki maiñ hasratoñ kā mazār huuñ
bhalā mujh pe Dhā.eñ to Dhā.eñ kyā sitam ab zamāne kī āñdhiyāñ
maiñ bujhā huā sā charāġh huuñ maiñ miTā huā sā ġhubār huuñ
kahūñ kyā hai kyā mirī zindagī ye hai zindagī koī zindagī
vo hai dushman-e-dil-o-jāñ mirā dil-o-jāñ se jis pe nisār huuñ
shab-o-roz lab pe hai ai 'vafā' ye duā ki maut hī de ḳhudā
jo yahī hai mere nasīb meñ ki asīr-e-dām-e-balā rahūñ
Top Urdushayar.com