harf-e-haq kaun kahe ab sar-e-darbār miyāñ
sar jhukā.e haiñ khaḌe sab tire sardār miyāñ
koī vardī na sanad hai use darkār miyāñ
rahnumā merā ho bas sāhab-e-kirdār miyāñ
kaise hotī hai sahar kis ko sahar kahte haiñ
vahī jaane jo rahā raat meñ bedār miyāñ
tum sahārā mujhe kyā doge kabhī mushkil meñ
tum to ḳhud se bhī nazar aate ho bezār miyāñ
haa.e kyā soch ke nikle the kabhī ghar se tum
māñgte phirte ho ab sāya-e-dīvār miyāñ
raushnī bhī nahīñ in meñ na hai ḳhushbū koī
kyā kitābeñ tirī kyā haiñ tire ash.ār miyāñ
ḳhuuñ kiyā dil ko liyā daaġh jigar par maiñ ne
mujh se pūchho ki hai kyā ishq kā āzār miyāñ
ġham na siine se lagā.e maiñ jahāñ se jaatā
mujh ko duniyā meñ jo miltā koī ġham-ḳhvār miyāñ
har taraf jalva-numā.ī thī usī kī 'mas.ūd'
tum rahe phir bhī yahāñ tishna-e-dīdār miyāñ