justujū jab tirī nahīñ hogī
merī manzil koī nahīñ hogī
maiñ huuñ chhoTā to kyā ye lāzim hai
merī ḳhvāhish baḌī nahīñ hogī
yuuñ to jugnū bhī haiñ hasīñ lekin
in se to raushnī nahīñ hogī
koī chehra khilā nahīñ lagtā
dil meñ shāyad ḳhushī nahīñ hogī
ab ke bastī meñ hai jo sannāTā
ḳhatm ye ḳhāmushī nahīñ hogī
ab chaleñ dasht ko vahāñ shāyad
itnī be-raunaqī nahīñ hogī
ḳhvāb 'mas.ūd' kyā vo dekhegā
aañkh jis kī lagī nahīñ hogī