Hafeez Banarasi

kuchh soch ke parwana mahfil mein jala hoga

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
kuchh soch ke parvāna mahfil meñ jalā hogā
shāyad isī marne meñ jiine kā mazā hogā
har sa.ī-e-sitam par aañsū nikal aa.e haiñ
anjām-e-tarab-koshī kyā jāniye kyā hogā
gumrāh-e-mohabbat huuñ pūchho na mirī manzil
har naqsh-e-qadam merā manzil kā patā hogā
kyā terā mudāvā ho dard-e-shab-e-tanhā.ī
chup rahiye to barbādī kahiye to gilā hogā
katrā ke to jaate ho dīvāne ke raste se
dīvāna lipaT jaa.e qadmoñ se to kyā hogā
maiḳhāne se masjid tak milte haiñ nuqūsh-e-pā
yā shaiḳh ga.e hoñge yā riñd gayā hogā
farzānoñ kā kyā kahnā har baat pe laḌte haiñ
dīvāne se dīvāna shāyad hī laḌā hogā
rindoñ ko 'hafīz' itnā samjhā de koī jā kar
aapas meñ laḌoge tum vaa.iz kā bhalā hogā
Top Urdushayar.com