Hafeez Banarasi

ye aur baat ki lahja udas rakhte hain

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
ye aur baat ki lahja udaas rakhte haiñ
ḳhizāñ ke giit bhī apnī miThās rakhte haiñ
kaheñ to kyā kaheñ ham un kī sāda-lauhī ko
jo qātiloñ se tarahhum kī aas rakhte haiñ
kisī ke sāmne phailā.īñ kis liye dāman
tumhāre dard kī daulat jo paas rakhte haiñ
unheñ hayāt kī tohmat na do abas yaaro
jo apnā jism na apnā libās rakhte haiñ
qarīb-e-gul-badnāñ rah chuke haiñ dīvāne
ye ḳhaar vo haiñ jo phūloñ kī baas rakhte haiñ
kahāñ bhigo.e koī apne ḳhushk hoñToñ ko
ye daur vo hai ki dariyā bhī pyaas rakhte haiñ
ḳhudā kā shukr adā kiije ḳhush-nasībī par
'hafīz' aap dil-e-ġham-shanās rakhte haiñ
Top Urdushayar.com