Hafeez Banarasi

KHafa hai gar ye KHudai to fikr hi kya hai

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
ḳhafā hai gar ye ḳhudā.ī to fikr hī kyā hai
tirī nigāh salāmat mujhe kamī kyā hai
bas ik tajallī-e-rañgīñ bas ik tabassum-e-nāz
riyāz-e-dahr meñ phūloñ kī zindagī kyā hai
ḳhudā-rasīda sahī laakh barguzīda sahī
jo aadmī ko na samjhe vo aadmī kyā hai
abas ye mashq-e-rukū-o-sujūd hai yaaro
agar pata nahīñ mafhūm-e-bandagī kyā hai
kahīñ ye lutf-o-ināyat kī ibtidā to nahīñ
tumhīñ batāo ye andāz-e-barhamī kyā hai
diloñ ke taar jo chhū le vahī hai sher 'hafīz'
agar ye baat nahīñ hai to shā.irī kyā hai
Top Urdushayar.com