Hafeez Banarasi

jo KHat hai shikasta hai jo aks hai TuTa hai

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008

jo ḳhat hai shikasta hai jo aks hai TuuTā hai

husn tirā jhūTā aa.ina jhūTā hai

ham shukr kareñ kis shākī hoñ to kis ke huuñ

rahzan ne bhī luuTā hai rahbar ne bhī luuTā hai

yaad aayā in āñkhoñ paimān-e-vafā jab bhī

sāġhar mire hāthoñ se be-sāḳhta chhūTā hai

har chehre pe likkhā hai ik qissa-e-mazlūmī

bedard zamāne ne har shaḳhs ko luuTā hai

manzil tamannā meñ sar-garm-e-safar haiñ sab

kaun us ke liye ro.e jo raah meñ chhūTā hai

allāh re 'hafīz' us ye zauq-e-ḳhud-ārā.ī

jab zulf sañvārī hai ik aa.ina TuuTā hai

Top Urdushayar.com