raat kā naam saverā hī sahī
aap kahte haiñ to aisā hī sahī
kyā burā.ī hai agar dekh leñ ham
zindagī ek tamāshā hī sahī
kuchh to kāñdhoñ pe liye haiñ ham log
apne armānoñ kā lāsha hī sahī
pīchhe haTnā hameñ manzūr nahīñ
sāmne aag kā dariyā hī sahī
kyā zarūrī hai ki maiñ naam bhī luuñ
merā dushman koī apnā hī sahī
aa.ina dekh ke Dar jaatā huuñ
aa.ina merā shanāsā hī sahī
merā qad aap se ūñchā hai bahut
maiñ 'hafīz' aap kā saayā hī sahī