Hafeez Banarasi

jab tasawwur mein koi mah-jabin hota hai

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
jab tasavvur meñ koī māh-jabīñ hotā hai
raat hotī hai magar din kā yaqīñ hotā hai
uf vo bedād ināyat bhī tasadduq jis par
haa.e vo ġham jo masarrat se hasīñ hotā hai
hijr kī raat fusūñ-kāri-e-zulmat mat pūchh
sham.a jaltī hai magar nuur nahīñ hotā hai
duur tak ham ne jo dekhā to ye mālūm huā
ki vo insāñ kī rag-e-jāñ se qarīñ hotā hai
ishq meñ mārka-e-qalb-o-nazar kyā kahiye
choT lagtī hai kahīñ dard kahīñ hotā hai
ham ne dekhe haiñ vo aalam bhī mohabbat meñ 'hafīz'
āstāñ ḳhud jahāñ mushtāq-e-jabīñ hotā hai
Top Urdushayar.com