ye hādsa bhī shahr-e-nigārāñ meñ ho gayā
be-chehragī kī bhiiḌ meñ har chehra kho gayā
jis ko sazā milī thī ki jaage tamām umr
suntā huuñ aaj maut kī bāñhoñ meñ so gayā
harkat kisī meñ hai na harārat kisī meñ hai
kyā shahr thā jo barf kī chaTTān ho gayā
maiñ us ko nafratoñ ke sivā kuchh na de sakā
vo chāhatoñ kā biij mire dil meñ bo gayā
marham to rakh sakā na koī mere zaḳhm par
jo aayā ek nishtar-e-tāza chubho gayā
yā kījiye qubūl ki har chehra zard hai
yā kahiye har nigāh ko yarqān ho gayā
maiñ ne to apne ġham kī kahānī sunā.ī thī
kyuuñ apne apne ġham meñ har ik shaḳhs kho gayā
us dushman-e-vafā ko duā de rahā huuñ maiñ
merā na ho sakā vo kisī kā to ho gayā
ik māh-vash ne chuum lī peshāni-e-'hafīz'
dilchasp hādsa thā jo kal raat ho gayā