dil kī āvāz meñ āvāz milāte rahiye
jāgte rahiye zamāne ko jagāte rahiye
daulat-e-ishq nahīñ bāñdh ke rakhne ke liye
is ḳhazāne ko jahāñ tak ho luTāte rahiye
zindagī bhī kisī mahbūb se kuchh kam to nahīñ
pyaar hai us se to phir naaz uThāte rahiye
zindagī dard kī tasvīr na banñe paa.e
bolte rahiye zarā hañste hañsāte rahiye
rūThnā bhī hai hasīnoñ kī adā meñ shāmil
aap kā kaam manānā hai manāte rahiye
phuul bikhrātā huā maiñ tau chalā jā.ūñgā
aap kāñTe mirī rāhoñ meñ bichhāte rahiye
bevafā.ī kā zamāna hai magar aap 'hafīz'
naġhma-e-mehr-o-vafā sab ko sunāte rahiye