jo pardoñ meñ ḳhud ko chhupā.e hue haiñ
qayāmat vahī to uThā.e hue haiñ
tirī anjuman meñ jo aa.e hue haiñ
ġham-e-do-jahāñ ko bhulā.e hue haiñ
pahāḌoñ se bhī jo uThā.e na uTThā
vo bār-e-vafā ham uThā.e hue haiñ
koī shaam ke vaqt aa.egā lekin
sahar se ham āñkheñ bichhā.e hue haiñ
jahāñ bijliyāñ ḳhud amaañ DhūñDtī haiñ
vahāñ ham nasheman banā.e hue haiñ
ġhazal aabrū hai tū urdu zabāñ kī
tirī aabrū ham bachā.e hue haiñ
ye ash.ār yuuñ hī nahīñ dard-āgīñ
'hafīz' aap bhī choT khaa.e hue haiñ