hadīs-e-talḳhī-e-ayyām se taklīf hotī hai
sahar vāloñ ko zikr-e-shām se taklīf hotī hai
vahī kāfir ki jis kā naam taskīn-e-dil-o-jāñ thā
sitam hai ab usī ke naam se taklīf hotī hai
maqām aisā bhī aatā hai guzargāh-e-mohabbat meñ
musāfir ko jahāñ ārām se taklīf hotī hai
shikast-e-dil kī manzil se agar guzre to kyā hogā
abhī tum ko shikast-e-jām se taklīf hotī hai
'hafīz' ahl-e-gulistāñ se hamārā haal mat kahnā
unheñ zikr-e-asīr-e-dām se taklīf hotī hai