vo to baiThe rahe sar jhukā.e hue
jaadū un kī nigāhoñ ke chalte rahe
mushkiloñ ne bahut raah rokī magar
jin ko manzil kī dhun thī vo chalte rahe
maiñ unheñ bhī gale se lagātā rahā
mere baare meñ jo zahr ugalte rahe
ham to qaa.em rahe apnī har baat par
tum ba-rañg-e-zamāna badalte rahe
yaad ke jugnuoñ se vo aalam rahā
diip bujhte rahe diip jalte rahe
ham ne dāman na apnā bhigoyā 'hafīz'
dil meñ tūfān lākhoñ machalte rahe