Hafeez Banarasi

gumrah kah ke pahle jo mujhse KHafa hue

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
gumrāh kah ke pahle jo mujh se ḳhafā hue
āḳhir vo mere naqsh-e-qadam par fidā hue
ab tak to zindagī se ta.āruf na thā koī
tum se mile to ziist se bhī āshnā hue
aisā nahīñ ki dil hī muqābil nahīñ rahā
tīr-e-nigāh-e-nāz bhī aksar ḳhatā hue
merī nazar ne tum ko jamāl-e-āshnā kiyā
mujh ko duā.eñ do ki tum ik ā.īna hue
kyā hogā is se baḌh ke koī rabt-e-bāhamī
manzil hamārī vo to ham un kā patā hue
ab kyā batā.eñ kis kī nigāhoñ kī den thī
vo mai ki jis ke piite hī ham pārsā hue
suntā huuñ ik maqām-e-ziyārat hai aaj kal
vo zindagī kā moḌ jahāñ ham judā hue
vo aa ga.e davā-e-ġham-e-jāñ liye hue
lo aaj ham bhī qā.il-e-dast-e-duā hue
kab zindagī ne ham ko navāzā nahīñ 'hafīz'
kab ham pe bāb-e-lutf-o-ināyāt na vā hue
Top Urdushayar.com