aa jaao ki mil kar ham jiine kī binā Dāleñ
ye bār-e-hayāt ai dost uThne kā nahīñ tanhā
duniyā pe musallat hai auhām kī tārīkī
ham haiñ ki jalā.e haiñ ik sham-e-yaqīñ tanhā
muhtāj-e-tavajjoh haiñ kuchh aur masā.il bhī
kyuuñ zehn meñ phirtī hai ik nān-e-javīñ tanhā
har murġh-e-ḳhush-alhāñ ab parvāz pe maa.il hai
gulshan meñ na rah jaa.e sayyād kahīñ tanhā
sajde dar-e-jānāñ par lākhoñ ne kiye lekin
me.ār-e-vafā Thahrī merī hī jabīñ tanhā
ik husn-e-tasavvur hai jo ziist kā sāthī hai
vo koī bhī manzil ho ham log nahīñ tanhā
nazdīk 'hafīz' is ke riñd aa.eñ to kyā aa.eñ
jāgīr hai zāhid kī sarmāya-e-deñ tanhā