hamāre ahd kā manzar ajiib manzar hai
bahār chehre pe dil meñ ḳhizāñ kā daftar hai
na ham-safar nā koī naqsh-e-pā nā rahbar hai
junūñ kī raah meñ kuchh hai to jaan kā Dar hai
har ek lamha hameñ Dar hai TuuT jaane kā
ye zindagī hai ki bosīda kāñch kā ghar hai
isī se laḌte hue ek umr biit ga.ī
mirī anā hī mire rāste kā patthar hai
tamām jism haiñ jis ke ḳhayāl meñ larzāñ
vo tīrgī kā nahīñ raushnī kā ḳhanjar hai
maiñ ek qatra huuñ lekin mirā nasīb to dekh
ki be-qarār mire ġham meñ ik samundar hai
usī ke pīchhe ravāñ huuñ maiñ pāgaloñ kī tarah
vo ek shai jo mirī dastaras se bāhar hai
isī ḳhayāl se miltā hai kuchh sakūñ dil ko
ki nā-subūrī to is daur kā muqaddar hai
kabhī to is se mulāqāt kī ghaḌī aa.e
jo mere dil meñ basā hai jo mere andar hai
uqāb-e-zulm ke panje abhī kahāñ TuuTe
abhī to fāḳhta-e-aman ḳhuun meñ tar hai
ḳhudā kī maar ho is jehl-e-āgahī pe 'hafīz'
ba-zo.am-e-ḳhud yahāñ har shaḳhs ik payambar hai