jo nazar se bayān hotī hai
kyā hasīñ dāstān hotī hai
pattharoñ ko na Thokareñ maaro
pattharoñ meñ bhī jaan hotī hai
jis ko chhū do tum apne qadmoñ se
vo zamīñ āsmān hotī hai
be-piye bhī surūr hotā hai
jab mohabbat javān hotī hai
zindagī to usī kī hai jis par
vo nazar mehrbān hotī hai
jitne ūñche ḳhayāl hote haiñ
utnī ūñchī uḌaan hotī hai
aarzū kī zabāñ nahīñ hotī
aarzū be-zabān hotī hai
jis meñ shāmil ho talḳhi-e-ġham bhī
kitnī mīThī vo taan hotī hai
in kī nazroñ kā ho fusūñ jis meñ
vo ġhazal kī zabān hotī hai
ḳhaar kī zindagī-e-be-raunaq
phuul kī pāsbān hotī hai
kaun detā hai ruuh ko āvāz
jab haram meñ azaan hotī hai
ishq kī zindagī 'hafīz' na pūchh
har ghaḌī imtihān hotī hai