Hafeez Banarasi

ye kaisi hawa-e-gham-o-azar chali hai

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
ye kaisī havā-e-ġham-o-āzār chalī hai
ḳhud bād-e-bahārī bhī sharar-bār chalī hai
dekhī hī na thī jis ne shikast aaj tak apnī
vo chashm-e-fusūñ-ḳhez bhī dil haar chalī hai
ab koī hadīs-e-qad-o-gesū nahīñ suntā
duniyā meñ vo rasm-e-rasan-o-dār chalī hai
taktā hī nahīñ koī mai o jaam kī jānib
kyā chaal ye tū ne nigah-e-yār chalī hai
vo log kahāñ jaa.eñ jo kāfir haiñ na dīñ-dār
phir kashmakash-e-kāfir-o-dīn-dār chalī hai
baat aur bhī kuchh mai kī mazammat ke alāva
ye baat to ai shaiḳh ka.ī baar chalī hai
dīvāngi-e-shauq meñ jo kar ga.e ham log
meyār-e-ḳhirad ban ke vo guftār chalī hai
sāzish na ho kuchh dair o haram vāloñ kī is meñ
suntā huuñ ki mai-ḳhāne meñ talvār chalī hai
kab yaad kiyā ham ko 'hafīz' ahl-e-chaman ne
jab ziist sū-e-vādi-e-pur-ḳhār chalī hai
Top Urdushayar.com