Hafeez Banarasi

ek shagufta gulab jaisa tha

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
ik shagufta gulāb jaisā thā
vo bahāroñ ke ḳhvāb jaisā thā
paḌh liyā ham ne harf harf use
us kā chehra kitāb kaisā thā
duur se kuchh thā aur qarīb se kuchh
har sahārā sarāb jaisā thā
ham ġharīboñ ke vāste har roz
ek roz-e-hisāb jaisā thā
kis qadar jald uḌ gayā yaaro
vaqt rañg-e-shabāb jaisā thā
kaise guzrī hai umr kyā kahiye
lamha lamha azaab jaisā thā
zahr thā zindagī ke sāġhar meñ
rañg rañg-e-sharāb jaisā thā
kyā zamāna thā vo zamāna bhī
har gunah jab savāb jaisā thā
kaun gardāntā use qātil
vo to izzat-ma.āb jaisā thā
be-hijābī ke bāvajūd bhī kuchh
is ke ruḳh par hijāb jaisā thā
jab bhī chheḌā to ik fuġhāñ niklī
dil shikasta rabāb jaisā thā
is ke ruḳh par nazar Thahar na sakī
vo 'hafīz' āftāb jaisā thā
Top Urdushayar.com