muddat kī tishnagī kā in.aam chāhtā huuñ
mastī bharī nazar se ik jaam chāhtā huuñ
ai gardish-e-zamāna zahmat to hogī tujh ko
kuchh der ke liye maiñ ārām chāhtā huuñ
kal ham se kah rahā thā shohrat-talab zamāna
tum kaam chāhte ho maiñ naam chāhtā huuñ
sub.h-e-hayāt le le ai zulf-e-yār lekin
maiñ tujh se is ke badle ik shaam chāhtā huuñ
bād-e-sabā se kah do merī taraf bhī aa.e
maiñ bhī 'hafīz' un kā paiġhām chāhtā huuñ