Hafeez Banarasi

lahu ki mai banai dil ka paimana bana Dala

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
lahū kī mai banā.ī dil kā paimāna banā Daalā
jigar-dāroñ ne maqtal ko bhī mai-ḳhāna banā Daalā
hamāre jazba-e-tāmīr kī kuchh daad do yaaro
ki ham ne bijliyoñ ko sham.a kā shāna banā Daalā
sitam Dhāte ho lekin lutf kā ehsās hotā hai
isī andāz ne duniyā ko dīvāna banā Daalā
bharī mahfil meñ ham ne baat kar lī thī un āñkhoñ se
bas itnī baat kā yāroñ ne afsāna banā Daalā
mire zauq-e-parastish kī karishma-sāziyāñ dekho
kabhī ka.aba kabhī ka.abe ko but-ḳhāna banā Daalā
shikāyat bijliyoñ se hai na shikva bād-e-sarsar se
chaman ko ḳhud chaman vāloñ ne vīrāna banā Daalā
chalo achchhā huā duniyā 'hafīz' ab duur hai ham se
mohabbat ne hameñ duniyā se begāna banā Daalā
Top Urdushayar.com