Hafeez Banarasi

koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai

Hafeez Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1933-2008
koī batlā.e ki ye turfa tamāshā kyuuñ hai
aadmī bhiiḌ meñ rahte hue tanhā kyuuñ hai
paañv phailā.e hue ġham kā añdherā kyuuñ hai
aa ga.ī sub.h-e-tamannā to phir aisā kyuuñ hai
maiñ to ik zarra-e-nāchīz huuñ aur kuchh bhī nahīñ
vo jo sūraj hai mire naam se jaltā kyuuñ hai
tujh ko nisbat hai agar nām-e-barāhīm se kuchh
aag ko phuul samajh aag se Dartā kyuuñ hai
kaun sā ahd hai jis ahd meñ ham jiite haiñ
dasht to dasht hai dariyā yahāñ pyāsā kyuuñ hai
pī ke bahkegā to rusvā.ī-e-mahfil hogī
vo jo kam-zarf hai maiḳhāne meñ aayā kyuuñ hai
koī aaseb hai yā sirf nigāhoñ kā fareb
ek saaya mujhe har sū nazar aatā kyuuñ hai
yaad kis kī mah-o-ḳhurshīd liye aa.ī hai
shab-e-tārīk meñ aaj itnā ujālā kyuuñ hai
bad-havāsī kā ye aalam kabhī pahle to na thā
hashr se pahle hī ye hashr sā barpā kyuuñ hai
Top Urdushayar.com