sā.atoñ kī nahīñ baat lamhoñ kī hai jism se ruuh parvāz kar jā.egī
tum hamārī ḳhabar ko to kyā aaoge ab tumhī ko hamārī ḳhabar jā.egī
jis qayāmat se vaa.iz Darātā hai tū us qayāmat se kam ye qayāmat nahīñ
bār-hā dil pe guzrī hai jo hijr meñ bār-hā jaan par jo guzar jā.egī
mere chāragaro mere tan-parvaro, jaao tum kas liye niiñd khoTī karo
hijr kī raat lā-intihā raat hai ye qayāmat nahīñ jo guzar jā.egī
mere jiine na jiine meñ kyā farq hai merā jiinā na jiinā barābar hai ab
mujh ko marne hī do mujh ko marne hī do mere marne se duniyā na mar jā.egī
merī duniyā mirī zindagī tak hī hai aur ik din merī maut ke saath hī
ḳhātma merī duniyā kā ho jā.egā merī duniyā mire saath mar jā.egī
Darne vāloñ ko duniyā Darātī rahī Darne vāloñ ko duniyā Darātī rahe
tum Daroge na duniyā se lekin agar haar kar tum se duniyā hī Dar jā.egī
al-amāñ al-amāñ al-hazar al-hazar al-amāñ al-hazar terī nīchī nazar
tiir ban kar jigar meñ utar jā.egī dard kī Tiis rag rag meñ bhar jā.egī
lā.eñgī rañg lā.eñgī aa.heñ mirī rā.egāñ hī na jā.eñgī aa.heñ mirī
merī qismat to sañvre na sañvre magar zulf to us parī kī sañvar jā.egī
zindagī ko na hai aarzū ko 'vafā' hasrat-āgīñ hai donoñ kā shahr-e-vafā
zindagī aarzū meñ guzar jā.egī aarzū dil meñ ghuT ghuT ke mar jā.egī