ḳhud apnī zaat ke shahpar meñ huuñ maiñ
kabhī markaz kabhī mehvar meñ huuñ maiñ
abhī mujh meñ bahut himmat hai lekin
kisī haare hue lashkar meñ huuñ maiñ
bahādur hai amaañ saḌkoñ pe lekin
Darā-sahmā huā sā ghar meñ huuñ maiñ
yaqīñ sāhil pe hone kā to hogā
abhī tashkīk ke sāgar meñ huuñ maiñ
vo āñkhoñ se utar aayā hai dil meñ
isī manzar ke pas-manzar meñ huuñ maiñ
agar hai taaj chāhat kī alāmat
to is ke ek ik patthar meñ huuñ maiñ