Farhan Hanif Warsi

umumi soch se baDh kar bhi kuchh fankar rakhta hai

Farhan Hanif Warsi

Mumbai, Maharashtra, India

1966
umūmī soch se baḌh kar bhī kuchh fankār rakhtā hai
vasīla koī bhī ho quvvat-e-iz.hār rakhtā hai
mirā ye dil ba-zāhir maslahat-andesh hai lekin
anā haavī agar ho jur.at-e-inkār rakhtā hai
re.āyā ḳhud ko kitnī be-amāñ mahsūs kartī hai
adāvat shaah se jab bhī sipah-sālār rakhtā hai
ta.ajjub hai vafā ke baab meñ bhī had muqarrar hai
vo sab samtoñ meñ jaise kāñch kī dīvār rakhtā hai
hamārī chāhateñ sach haiñ magar hālāt kā dariyā
mujhe is paar rakhtā hai tujhe us paar rakhtā hai
nahīñ apnī ḳhabar 'farhān' ko lekin ba-sad hairat
vo apne saath har dam sub.h kā aḳhbār rakhtā hai
Top Urdushayar.com