apne baare meñ soch lete haiñ
ya.anī ab ham bahut akele haiñ
ḳhauf aatā hai bhiiḌ se jab bhī
ghar kī vīrāniyoñ se Darte haiñ
mere maazī kī band muTThī meñ
terī yādoñ ke chand sikke haiñ
kyā kareñ har bashar kī āñkhoñ meñ
be-yaqīnī ke gahre saa.e haiñ
baat karte hue ye lagtā hai
ḳhvāb lafzoñ kī shakl umDe haiñ