Qamar Badarpuri

har ek manzil qayam-e-rahguzar malum hoti hai

Qamar Badarpuri

har ik manzil qayām-e-rahguzar ma.alūm hotī hai
hameñ to zindagī paiham safar ma.alūm hotī hai
vahī tanhā.ī kā aalam vahī be-raunaqī har sū
bayābāñ terī ḳhāmoshī bhī ghar ma.alūm hotī hai
hamāre hāsidoñ kī chaal āḳhir rañg le aa.ī
bahut badlī huī un kī nazar ma.alūm hotī hai
masīhā bhuul jā terī davā kuchh kaam aa.egī
ki har tadbīr ab to be-asar ma.alūm hotī hai
agar do vaqt kī roTī hī mil jaa.e ġhanīmat hai
miyāñ faaqe meñ guThlī bhī samar ma.alūm hotī hai
añdherī raat meñ ai jān-e-jāñ bhaTke musāfir ko
diye kī lau bhī jaise ik qamar ma.alūm hotī hai
Top Urdushayar.com