galī meñ baḳht ke un kā bhī kuchh qissa nikal aayā
huī thī sulh kis mushkil se phir jhagḌā nikal aayā
maiñ apne shor ke sadqe ki dekhā aaj to us ko
bharā ġhusse meñ ghar se shoḳh be-parvā nikal aayā
nadāmat jo huī deñ gāliyāñ afsāna-goyoñ ko
vo sunte the kahānī zikr kuchh merā nikal aayā
kisī kā ghar nahīñ ye to galī hai soch o zālim
ghar uktā kis liye hai bhuul kar is jā nikal aayā
mirī taqdīr badlī zo.af se āvāz kyā badlī
vo apne dil meñ dushman kī sadā samjhā nikal aayā
jo sach pūchho to sadqe meñ tumhāre aks aariz ke
kañval phūle diloñ ke rañg ġhunchoñ kā nikal aayā
'nasīm' un ko jo apnā jazb-e-ḳhātir is taraf laayā
gale mil mil ke ro.e hausla dil kā nikal aayā