safar hai dushvār ḳhvāb kab tak bahut paḌī manzil-e-adam hai
'nasīm' jaago kamar ko bāñdho uThāo bistar ki raat kam hai
'nasīm' ġhaflat kī chal rahī hai umañD rahī haiñ qazā kī nīndeñ
kuchh aisā so.e haiñ sone vaale ki jāgnā hashr tak qasam hai
javānī-o-husn-o-jāh-o-daulat ye chand anfās ke haiñ jhagḌe
ajal hai istāda dast-basta naved-e-ruḳhsat har ek dam hai
basān-e-dast-e-savāl saa.il tahī hoñ har ek mudda.ā se
niyāz hai be-niyāziyoñ se baġhal meñ dil sūrat-e-sanam hai
ma.āl-e-kār-e-jahān-e-fānī kabhī nahīñ ek qā.ede par
jo chaar din hai vufūr-e-rāhat to ba.ad is ke ġham-o-alam hai
dareġh karnā na zor-e-bāzū miTā le saarī kudūratoñ ko
havas na rah jaa.e koī qātil ki sar tah-e-ḳhanjar-e-do-dam hai
zabān roko bahak rahe ho surūr-e-do-shīna josh par hai
mai-e-visāl-e-shab-e-tamannā har ek lab se abhī baham hai
ye misra-e-muḳhbir-e-musībat kamāl ham ko pasand aayā
'nasīm' jaago kamar ko bāñdho uThāo bistar ki raat kam hai