shikvā hai na ġhussa hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kyuuñ aap ko dhaḌkā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
chup rahne do dam-bhar mujhe lillāh na chheḌo
ab is se tumheñ kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
is lutf-zabānī ko zarā sochiye dil meñ
ye uzr to bejā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
us lutf-e-zabānī ko zarā sochiye dil meñ
ye uzr to bejā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
muñh merā na khulvāo ki ho jā.eñge lab band
dekho yahī achchhā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
Dartā nahīñ jo dil meñ ho dushman ke lagā.e
un par ye huvaidā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kyuuñ rukte ho aadat se huuñ majbūr vagarna
kuchh aap se pardā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ab vo bhī ye samjhā ki ye samjhā merī ghāteñ
is baat se Dartā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
har roz na.e Dhañg haiñ ḳhātir ke 'nasīm' aah
kal se yahī saudā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā