marg-e-aġhyār lab pe lā na sakā
vo qasam huuñ jo yaar khā na sakā
is qadar zo.af thā ki terā naaz
thī tamannā magar uThā na sakā
mar ke ThanDā kahīñ na ho jaa.e
is liye vo mujhe jilā na sakā
buḳhl dekho to merī turbat par
ek aañsū bhī vo girā na sakā
uTh na jaa.e raqīb mahfil se
mujh ko pahlū meñ vo biThā na sakā
thā jo ashk-e-azīz ḳhātir meñ
dīda-e-tar mujhe bahā na sakā
husn terā vo māh-e-tābāñ thā
abr-e-gesū jise chhupā na sakā
dār-e-fānī maqām-e-laġhzish hai
koī apnā qadam jamā na sakā
na milā koī vaqt-e-tanhā.ī
hāl-e-dil yaar ko sunā na sakā
jāntā thā paḌe raheñge vahīñ
is liye yaar ghar batā na sakā
na manā laḌ ke vo bahut chāhā
aise bigḌe ki phir banā na sakā
dekh kar bad-dimāġhiyāñ un kī
nāma-bar ḳhat mirā paḌhā na sakā
kis tarah arz-e-mudda.ā kartā
ġhair ko paas se haTā na sakā
ārzū-mand rah gayā majnūñ
mere aage faroġh pā na sakā
kiina shauq-e-raqīb thā ai dost
ki tabī.at se terī jā na sakā
kyā nadāmat huī hai qātil se
nāz-e-ḳhanjar gulū uThā na sakā
ḳhauf thā ġhash unheñ na aa jaa.e
maiñ shigāf-e-jigar dikhā na sakā
nā-tavāñ thā 'nasīm' is darja
ki vo zanjīr-e-pā hilā na sakā