Naseem Dehlvi

nikal aaya wo ghabra kar dil us ka is qadar dhaDka

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
nikal aayā vo ghabrā kar dil us kā is qadar dhaḌkā
sadā bijlī kī dī naale ne jab muñh se mire kaḌkā
Thahar kuchh din meñ dast-andāziyoñ kā vaqt aa.egā
nihāl-e-nau-damīda huuñ bharosa kyā mirī jaḌ kā
hamesha ḳhāk-o-ḳhūñ meñ mujh ko betābī biThāyā kī
ba-shakl-e-murġh-e-bismil kaun se pahlū nahīñ phaḌkā
ḳhayāl-e-āriz-e-raushan meñ sub.h-o-shām yaksāñ hai
yahāñ āThoñ-pahar pesh-e-nazar hai nuur kā taḌkā
ye sach hai vaqt par be-raunaqī bhī kaam aatī hai
nihāl-e-ḳhushk ko khaTkā nahīñ hotā hai patjhaḌ kā
na kyuuñ pinhāñ rakhūñ dāman meñ us ko kam-nigāhoñ se
samajhtā huuñ maiñ apnā ashk-e-gulgūñ la.al gūdaḌ kā
guzartā hai salāmat vāqif-e-anjām matlab se
nahīñ rasta khaTaktā aañkh meñ dahqāñ kī bīhaḌ kā
liye haiñ gul ke bose aaj kis chorī se bulbul ne
paḌā soyā kiyā gulchīñ koī pattā nahīñ khaḌkā
chhupāyā parda-e-fānūs ban kar jism-e-uryāñ ne
darūn-e-ustuḳhvāñ se jis ghaḌī sho.ala koī bhaḌkā
ba-juz iimā kalām-e-ishq matlab se muarra hai
kisī par raaz khul saktā nahīñ majzūb kī baḌ kā
fasāhat ke ḳhilāf aa.e nazar sab qāfiye ham ko
'nasīm' aisī zamīñ par kījiye itlāq bīhaḌ kā
Top Urdushayar.com