Naseem Dehlvi

khuli hai aankh josh-e-intizar-e-yar-e-jaani hai

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
khulī hai aañkh josh-e-intizār-e-yār-e-jānī hai
ba-mushkil dīda-e-zanjīr ḳhvāb-e-pāsbānī hai
laboñ par aa chukā dam koī dam kī zindagānī hai
chal uTh o bevafā pahlū se ab kyuuñ mehrbānī hai
lagā duuñ aag uf karne meñ vo sho.ala-zabānī hai
ba-shakl-e-sham.a saare jism meñ soz-e-nihānī hai
kalām-e-hazrat-e-vā.iz nasīb-e-dushmanāñ bāshad
unDelo mai piyo sāġhar kahāñ phir naujavānī hai
umañgeñ haiñ tabī.at meñ bharī haiñ mastiyāñ dil meñ
huī jaatī haiñ āñkheñ band kaif-e-naujavānī hai
azāb-e-ġhaflat-e-qātil se ranj-e-kash-makash meñ huuñ
madad ai marg-e-be-taqsīr zauq-e-jāñ-fishānī hai
ḳhabar kyā pūchhtā hai ham-nafas kyuuñ kar guzartī hai
jigar jaltā hai dil bhuntā hai ashkoñ kī ravānī hai
adā-o-nāz-e-īmā chashm-e-ġhamza go vo koī ho
ta.alluq jis se ho jaa.e balā-e-nāgahānī hai
pasand aa.ī hai is darja aziyyat dostī ham ko
nazar meñ dhuup bhī dasht-e-musībat ke suhānī hai
ḳhayāl-e-mīrzā.ī ai 'nasīm'-dehlavī kab tak
jhuko buDDhe hue ab ruḳhsat-e-lutf-e-javānī hai
Top Urdushayar.com