lo zo.af se ab ye hāl-e-tan hai
saaya mutajassis-e-badan hai
yahāñ tan hī nahīñ hai lāġharī se
ham ko kyā hājat-e-kafan hai
misl-e-nik.hat haiñ jaama kaisā
apnā to badan hī pairahan hai
huuñ bulbul-e-bostān-e-tasvīr
be-ḳhauf-e-ḳhizāñ mirā chaman hai
huuñ kushta-e-teġh-e-sharm-e-jānāñ
har zaḳhm kā be-zabāñ dhan hai
lā-raib 'nasīm'-dehlavī to
ustād-e-nazākat-e-suḳhan hai