piite haiñ mai gunāh ba-qasd-e-savāb hai
mastī ke valvale haiñ zamān-e-shabāb hai
ai chāragar nadāmat-e-be-jā na lījiyo
dil chaak ho chukā hai jigar aab aab hai
zāhid muaaf zabt-e-tabī.at nahīñ hameñ
sāġhar chhalak rahe haiñ havā-e-shabāb hai
bedāriyāñ haiñ dīda-e-zanjīr kī tarah
vo aañkh hai azal se jo mahrūm-e-ḳhvāb hai
ai shor-e-hashr Thahar ki fursat nahīñ hameñ
haiñ ġhaflatoñ ke josh javānī kā ḳhvāb hai
ai shaiḳh tūl-e-rīsh-e-muqaddas ghaTā.iye
had se ziyāda jo hai usī par azaab hai
ai be-ḳhabar qarīb hai fardā-e-bāz-purs
hushiyār ho ki jald zamān-e-hisāb hai
dekhā nigāh-e-ġhaur se ham ne jo ai 'nasīm'
har sher is ġhazal kā tirī intiḳhāb hai