Naseem Dehlvi

kab is zamin pe mujhe aarmida hona tha

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
kab is zamīñ pe mujhe ārmīda honā thā
havā se ḳhaak ko barsoñ parīda honā thā
agar thī dāman-e-jānāñ kī aarzū ai dil
to chand dam ke liye āb-dīda honā thā
kisī ke chehre pe hotā kisī ke dāman meñ
mujhe bhī aañkh kā ashk-e-chakīda honā thā
kabhī na ḳhidmat-e-dāman se sarfarāz huā
vo haath huuñ ki jise nā-rasīda honā thā
kamāl-e-be-adabī se ye arz karte haiñ
hamīñ se a qad-e-jānāñ kashīda honā thā
agar thī lazzat-e-pāmāl kī havas ai dil
ba-shakl-e-sabza zamīñ par damīda honā thā
ajab na thā ki use rahm kuchh na kuchh aatā
merī umiid tujhe abr-dīda honā thā
kamāl-e-rabt meñ hotī haiñ saikaḌoñ bāteñ
na is qadar tumheñ ham se kashīda honā thā
tirā jamāl banā maiñ kabhī, kabhī ehsāñ
ġharaz ye thī ki mujhe barguzīda honā thā
khulī ab aañkh to kyā fā.eda 'nasīm' afsos
na samjhe zer-e-lahad ārmīda honā thā
Top Urdushayar.com