Naseem Dehlvi

ghunche ne taj gul ne kiya pairahan durust

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
ġhunche ne taaj gul ne kiyā pairahan durust
shādī bahār kī hai huā hai chaman durust
paiġhām-e-rustḳhez hai aamad bahār kī
mar kar huī hai nargis-e-bīmār tandurust
rakkhā dahān-e-tañg ne matlab ko nā-tamām
niklā tumhāre muñh se na koī suḳhan durust
gul jalva-gar haiñ āmad-e-fasl-e-bahār hai
kar bāġhbāñ nasheb-o-farāz-e-chaman durust
paivand-e-mehr-o-māh lagātā hai roz-o-shab
kartā hai charḳh-e-pīr ridā-e-kuhan durust
dast-e-junūñ ne qaid-e-ta.alluq se dī najāt
pahuñchā na ek ta-ba-gulū pairahan durust
kartī hai jam.a bād-e-sabā ḳhaak muntashir
hotā hai phir nishān-e-mazār-e-kuhan durust
hotī haiñ josh-e-ishq meñ jo jo shikāyateñ
kahtā hai naaz se vo but-e-sīm-tan durust
farhād ne fareb-e-mohabbat meñ jaan dī
samjhā ki hai muāmala-e-pīr-zan durust
saaqī bhalā ho ḳhair subū koī jaam de
rakkhe ḳhudā hamesha tirī anjuman durust
nāhaq ḳharāsh zaḳhm kī detā hai zīnateñ
kartā hai shāna zulf-e-but-e-sīm-tan durust
kis rashk-e-gul kī shohrat-e-nazzārgī hai aaj
karte haiñ ġhuncha-hā-e-chaman pairahan durust
zañg-e-duī se ā.ina-e-dil hai pāk-o-sāf
rahtā hai apnā gosha-e-bait-ul-huzn durust
be-fā.eda haiñ chāragaroñ kī mashaqqateñ
hote nahīñ haiñ ishq ke bīmār-tan durust
chāTā hai ek umr luāb-e-zabān-e-teġh
zaḳhmoñ ke muddatoñ meñ hue haiñ dahan durust
badlūñ radīf aur ki jī bhar gayā 'nasīm'
ho aur tarah zulf-e-urūs-e-suḳhan durust
Top Urdushayar.com